Meer Naqi Ali Khan Saqib

raat jab zaKHm ke aaine se Takraati hai

Meer Naqi Ali Khan Saqib

raat jab zaḳhm ke ā.īne se Takrātī hai
lau charāġhoñ kī shafaq ban ke bikhar jaatī hai
ghar kā āñgan ho ki sahrāoñ kā sannāTā ho
koī āvāz ta.āqub meñ chalī aatī hai
kitnā hassās hai ye ālam-e-tanhā.ī bhī
phuul khilte haiñ to zaḳhmoñ se mahak aatī hai
har na.ī sub.h tirī yaad kā aañsū ban kar
zindagī shaam kī palkoñ se Tapak jaatī hai
aag lagtī hai ḳhayāloñ ke ufuq-zāroñ meñ
raushnī mom kī mānind pighal jaatī hai
dil kī galiyoñ se guzartā hai zamāna koī
fikr-e-shā.ir meñ koī raat mahak jaatī hai
sochte chehroñ pe sadiyoñ kī thakan hai 'sāqib'
jāgtī āñkhoñ meñ ab niiñd kahāñ aatī hai
Top Urdushayar.com