jalte hue kuchh soch ke ik pal ko rukā thā
aise bhī vo yādoñ ko mirī chhoḌ rahā thā
āñkhoñ meñ thakan gard-e-mah-o-sāl jabīñ par
ik shaḳhs kahīñ duur dhuñdlakoñ meñ milā thā
ab kyuuñ hai udāsī kā samāñ hadd-e-nazar tak
kal raat ḳhayāloñ meñ koī jaag rahā thā
kyuuñ maslahatan log use bhuul ga.e haiñ
insān kī azmat ko salīboñ meñ paḌhā thā
tanhā.ī ke darvāze se yādoñ kā samundar
lagtā hai ki jazbāt meñ sar maar rahā thā
rah rah ke vo chehra mujhe yaad aatā hai 'sāqib'
dekhā nahīñ jī bhar ke use kaun thā kyā thā