ek mauhūm sī ḳhushī kī tarah
tum mile bhī to ajnabī kī tarah
tīrgī ke udaas jañgal meñ
ham bhaTakte haiñ raushnī kī tarah
ġham-e-daurāñ sañvār duuñ tujh ko
apne gītoñ kī dilkashī kī tarah
yād-e-jānāñ utar ke aa.ī hai
shab ke ziine se chāñdnī kī tarah
mehrbāñ ho ke saath chaltī hai
zindagī dard-e-zindagī kī tarah
aarzū kā hasīñ saverā bhī
aaj nārāz hai kisī kī tarah
zindagī kā ḳhayāl bhī 'sāqib'
ruuTh jaa.e na zindagī kī tarah