ḳhaak par pheñkā havāoñ ne uThā le mujh ko
phuul huuñ coat ke collar pe sajā le mujh ko
kab se maiñ ret ke marqad meñ paḌā huuñ zinda
sat.h par mauj kisī din to uchhāle mujh ko
surḳhī-e-ḳhūñ meñ chamak hai ki mirī āñkhoñ meñ
roz vo rañg dikhātā hai nirāle mujh ko
saath hī mujh ko girā le na lachaktā huā peḌ
uḌtā bādal na kahīñ saath uḌā le mujh ko
kaañp uTThī hai kisī aur ke ghar kī buniyād
aur koī chīḳhtā hai mujh meñ bachā le mujh ko
raakh ho jā.ūñ na ḳhvāhish kī jalan se 'hāmid'
koī is jalte jazīre se nikāle mujh ko