bhuul jā mat rah kisī kī yaad meñ khoyā huā
is añdhere ġhaar meñ kuchh bhī nahīñ rakkhā huā
raushnī mil jaa.e to matlab ibārat kā samajh
hai kitāb-e-ḳhāk meñ kālak se kuchh likkhā huā
chhū ke jab dekhā mujhe behad pashemānī huī
vahm kā paikar thā mere sāmne baiThā huā
is makāñ meñ der se shāyad koī rahtā nahīñ
dar khule dālān saarā kaa.ī meñ Duubā huā
jāgtā hai phir bhī āñkhoñ meñ hai manzar niiñd kā
ḳhvāb kī sūrat huuñ us ke har taraf phailā huā
sab ke sab 'hāmid' yahāñ gum-sum haiñ apne-āp meñ
huuñ khilaunoñ se saje bāzār meñ aayā huā