apne hisār-e-jism se bāhar bhī dekhte
ham aa.ine ke sāmne ho kar bhī dekhte
aks-e-falak se TūTtā kaise jumūd aap
patthar girā ke jhiil ke andar bhī dekhte
karte palaT ke apne hī saa.e se guftugū
sahrā meñ zard-rañg samundar bhī dekhte
duniyā kā ḳhauf thā to lagāte na aag hī
yā mom kā pighaltā huā ghar bhī dekhte
'hāmid' tamām umr ye ḳhvāhish rahī hameñ
apne badan kī marg kā manzar bhī dekhte