dekhne vaale ko bāhar se gumāñ hotā nahīñ
aag kuchh aise lagā.ī hai dhuāñ hotā nahīñ
apne hone kī ḳhabar detā hai ḳhushbū se mujhe
phailtā hai chār-sū aur darmiyāñ hotā nahīñ
raushnī kar de tamāshā-gāh se dahshat miTe
kohr itnā hai ki pas-e-manzar ayaañ hotā nahīñ
sochnā chāho to zer-e-pā mile haft-āsmāñ
dekhnā chāho to ziine kā nishāñ hotā nahīñ
muntazir rahne se 'hāmid' qufl ko zarbeñ lagā
aap hī khul jaa.e dar aisā yahāñ hotā nahīñ