maiñ ḳhud ko is liye manzar pe laane vaalā nahīñ
ki aa.ina mirī sūrat dikhāne vaalā nahīñ
tire falak kā agar chāñd bujh gayā hai to kyā
diyā zamīñ pe bhī koī jalāne vaalā nahīñ
samundaroñ kī taraf jā rahā huuñ jaltā huā
ki merī aag ko bādal bujhāne vaalā nahīñ
ye kaun niind meñ aakar sirhāne baiTh gayā
maiñ apnā ḳhvāb kisī ko batāne vaalā nahīñ
ab is qadar bhī takalluf se mil rahe ho kyuuñ
tumhāre saath to rishta zamāne vaalā nahīñ
kamar kamān huī jā rahī yuuñ 'gauhar'
maiñ jaise ḳhud ko dobāra uThāne vaalā nahīñ