qabā-e-gard huuñ aatā hai ye ḳhayāl mujhe
chale havā to kahūñ kis se maiñ sambhāl mujhe
sukūt-e-marg ke gumbad meñ ik sadā ban ke
kabhī hisār-e-ġham-e-zīst se nikāl mujhe
koī bhī raah kā patthar nazar nahīñ aatā
maiñ dekhtā huuñ use hairat-e-savāl mujhe
mire vajūd meñ ik karb ban ke bikhrā hai
ye merā dil ki huā bā.is-e-vabāl mujhe
huuñ zer-e-sañg ravāñ aab kī tarah 'hāmid'
numūd degā mirī fikr kā ubaal mujhe