din ko na ghar se jā.iye lagtā hai Dar mujhe
is pāra-e-sahāb ko sūraj na dekh le
us haath kī mahak se mire haath shal hue
us qurb se mile mujhe sadiyoñ ke fāsle
merī laveñ bujhā na sakīñ tez āñdhiyāñ
jhoñkoñ kī naram dhaar se kohsār kaT ga.e
apnī sadā ko rok lo kyā is se fā.eda
Dhalvān par bhalā kabhī patthar Thahar sake
'hāmid' ajab adā se kiyā ḳhuun ne safar
palkoñ ko surḳh kar ga.e paañv ke aable