taur apnā hai alag iiñ se alag aañ se alag
go kisī taur nahīñ hikmat-e-yazdāñ se alag
ziist ik aur bhī hai qaid-e-rag-e-jāñ se alag
sub.h-e-tābāñ se judā shām-e-ġharībāñ se alag
zulmat-e-shab kī tarah nūr-e-shabistāñ se alag
ġham-e-daurāñ se alag ishq-e-nigārāñ se alag
gar tire vāste dil dhaḌke to zinda tū hai
dil kī āvāz hai āvāz-e-pareshāñ se alag
jab kabhī fikr mirā ramz-e-anā se uljhā
aalam ik aur banā ālam-e-imkāñ se alag
umr yuuñ ham ne guzārī hai zamāne meñ 'jamīl'
na ram-e-zīst meñ shāmil na ġham-e-jāñ se alag