ba-faiz-e-āgahī hai mudda.ā sanjīda sanjīda
ḳhudī ne vā kiye haiñ raaz kyā pechīda pechīda
nazar hairāñ tabī.at hai zarā ranjīda ranjīda
huā dil hai kisī kā mubtalā poshīda poshīda
fazāoñ se fasāna sun ke us ke dard-e-hijrāñ kā
guloñ ne chun liye ashk-e-sabā larzīda larzīda
isī mast-e-javānī ke qadam baḌh kar liye hoñge
chaman meñ chal rahī hai jo sabā laġhzīda laġhzīda
Thahar jaa.e na ghabrā kar kahīñ ye qāfila dil kā
mirī jānib nazar phir se uThā duzdīda duzdīda
'jamīl'-e-zār kā hai ye nishāñ ai gulistāñ vaalo
javāñ himmat pareshāñ-hāl sā kāhīda kāhīda