vaqt ke dāman se dāġh-e-tīrgī dho jā.eñge
dard kā sūraj zamīn-e-shab meñ ham bo jā.eñge
aaj rone kī jagah par jin ko aatī hai hañsī
kal vahī hañsne ke mauqe par lahū ro jā.eñge
kuchh na kuchh tuutī kī bhī sunte agar ye jānte
ek din naqqār-ḳhāne be-sadā ho jā.eñge
raat kī rañgīniyāñ muñh dekhtī rah jā.eñgī
ham thakan se chuur nañge farsh par so jā.eñge
kis ne sochā thā ye 'māhir' justujū ke josh meñ
jañgaloñ meñ vāpsī ke rāste ho jā.eñge