Mahir Abdul Hayee

main tere shahr mein aaya to Thahar jaunga

Mahir Abdul Hayee

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

maiñ tire shahr meñ aayā to Thahar jā.ūñgā
saya-e-abr nahīñ huuñ ki guzar jā.ūñgā
jazba-e-dil kā vo aalam hai to inshā-allāh
dard ban kar tire pahlū meñ utar jā.ūñgā
mahz bekār na samjheñ mujhe duniyā vaale
zindagī hai to koī kaam bhī kar jā.ūñgā
de ke āvāz to dekhe shab-e-tārīk mujhe
raushnī ban ke fazāoñ meñ bikhar jā.ūñgā
chhoḌ ai raunaq-e-bāzār mirā dāman-e-dil
shaam āñgan meñ utar aa.ī hai ghar jā.ūñgā
maiñ mujāhid huuñ kisī se nahīñ Dartā lekin
sāmnā ḳhud kā jo ho jaa.e to Dar jā.ūñgā
rāste saaf haiñ sab fazl-e-ḳhudā se 'māhir'
koī dīvār na rokegī jidhar jā.ūñgā
Top Urdushayar.com