niiñd aa.ī na khulā raat kā bistar mujh se
guftugū kartā rahā chāñd barābar mujh se
apnā saaya use ḳhairāt meñ de aayā huuñ
dhuup ke Dar se jo lipTā rahā din bhar mujh se
kaun sī aisī kamī mere ḳhad-o-ḳhāl meñ hai
aa.ina ḳhush nahīñ hotā kabhī mil kar mujh se
kyā musībat hai ki har din kī mashaqqat ke evaz
bāñdh jaatā hai koī raat kā patthar mujh se
dasht kī samt nikal aayā hai merā dariyā
bas isī par haiñ ḳhafā saare samundar mujh se
apne hāthoñ ko jo kashkol banāyā 'gauhar'
gir paḌā jaane kahāñ merā muqaddar mujh se