sarāb dekhtā huuñ maiñ ki aab dekhtā huuñ maiñ
samajh meñ jo na aa sake vo ḳhvāb dekhtā huuñ maiñ
lahūñ meñ tairtī hai koī shai tirī umiid sī
ugā huā shafaq meñ āftāb dekhtā huuñ maiñ
mirī nazar ke sāmne hai aa.ina rakkhā huā
tirī nazar kā husn-e-intiḳhāb dekhtā huuñ maiñ
ye kis maqām par hai aaj raḳhsh-e-fikr-o-āgahī
ki jibra.īl ko bhī ham-rikāb dekhtā huuñ maiñ
ye koī nazr to nahīñ nigāh dil navāz kī
khilā huā jo dil meñ ik gulāb dekhtā huuñ maiñ
kisī kā dāman-e-talab kushāda is qadar nahīñ
tirī atā ko be-had-o-hisāb dekhtā huuñ maiñ
samajh sakegā kaun ai ḳhudā tirī kitāb ko
badal gayā hai sab kā sab nisāb dekhtā huuñ maiñ
abhī to sun rahā huuñ maiñ gaḌhī huī kahāniyāñ
khulegā kab haqīqatoñ kā baab dekhtā huuñ maiñ
dil-o-nazar kī raushnī hai jis ke harf harf meñ
rakhī huī vo taaq par kitāb dekhtā huuñ maiñ
jo khelne meñ tez thā navāb ho gayā hai vo
paḌhe likhe ko ḳhasta-o-ḳharāb dekhtā huuñ maiñ
vo hoshiyār aadmī ki jāgtā hai raat din
kabhī kabhī use bhī mast-e-ḳhvāb dekhtā huuñ maiñ
jo 'māhir'-e-alam-zada ke lab pe aa ga.ī hañsī
tū khā rahā hai koī pech-o-tāb dekhtā huuñ maiñ