Mahir Abdul Hayee

ajib daur hai ahl-e-hunar nahin aate

Mahir Abdul Hayee

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

ajiib daur hai ahl-e-hunar nahīñ aate
pidar kā ilm liye ab pisar nahīñ aate
havā ke jhoñke bhī le kar ḳhabar nahīñ aate
jo ghar se jaate haiñ phir lauT kar nahīñ aate
hazār shāḳh-e-tamannā kī dekh-bhāl karo
ye shāḳh vo hai ki jis par samar nahīñ aate
samajh sakeñge na merī guzar-basar ko huzūr
sunahre taḳht se jab tak utar nahīñ aate
ham un kī samt chaleñ kis tarah se mīloñ-mīl
hamārī samt jo bālisht-bhar nahīñ aate
janāb-e-shaiḳh ke hujre se duur hī rahiye
farishte aate haiñ is meñ bashar nahīñ aate
savāl hī na thā dushman kī fath-yābī kā
hamārī saf meñ munāfiq agar nahīñ aate
na jaane kis kī nazar lag ga.ī zamāne ko
ki phuul chehre shagufta nazar nahīñ aate
vo din ga.e ki koī ḳhvāb ham ko taḌpā.e
ab aise ḳhvāb hameñ rāt-bhar nahīñ aate
ham un kī raah meñ āñkheñ bichhā.eñ kyuuñ 'māhir'
jo āsmāñ se sar-e-rah-guzar nahīñ aate
Top Urdushayar.com