Mahir Abdul Hayee

fareb shab ka giraftar rahun bachao mujhe

Mahir Abdul Hayee

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

fareb shab kā giraftār rahūñ bachāo mujhe
jalā ke sham.a koī rāsta dikhāo mujhe
zabān-e-hāl se kahtī hai yaad maazī kī
tumhārī raah kī dīvār huuñ girāo mujhe
kahāñ huuñ dasht-e-talab meñ mujhe patā to chale
mirā bhī naam pukāro koī bulāo mujhe
maiñ nam zamīn kā paudā huuñ suukh jā.ūñgā
sulagtī dhuup ke sahrā meñ mat lagāo mujhe
koī mata-e-hunar dast-e-be-hunar ke liye
kahāniyāñ na karāmāt kī sunāo mujhe
biThā ke nīche ghaTāte ho kyuuñ mujhe har baar
bhale ko apne kabhī dāhine biThāo mujhe
mire sulūk kī sūrat badal nahīñ saktī
hazār zulm-o-sitam kar ke āzmāo mujhe
ye be-ruḳhī ye taġhāful kahāñ talak pyāre
tumhāre kaam hī ā.ūñgā mat gañvāo mujhe
nigal na jaa.e kahīñ mujh ko dasht-e-ḳhāmoshī
akelā chhoḌ ke jaao na ai sadāo mujhe
mujhe bhī shauq hai paḌhne kā ye kitāb-e-ġhazal
kahīñ se muft meñ haath aa.e to batāo mujhe
Top Urdushayar.com