vahshat ke sau rañg dikhāne vaalā maiñ
ḳhud apnī zanjīr banāne vaalā maiñ
roz kuaañ khodūñ to pyaas bujhā.ūñ roz
dariyāoñ se pyaas bujhāne vaalā maiñ
maazī ke be-barg shajar par baiThā huuñ
mustaqbil ke giit sunāne vaalā maiñ
kaise mumkin hai apnoñ par vaar karūñ
dushman kī choTeñ sahlāne vaalā maiñ
andar andar dard kī lahreñ uupar se
har dam hañsne aur hañsāne vaalā maiñ
bāġhoñ ko vīrān banāne vaale log
sahrāoñ meñ phuul khāne vaalā maiñ
sadiyoñ se masmūm havā kī zad par huuñ
ummīdoñ kī fazl ugāne vaalā maiñ
dekho kab tak paañv jamā.e rahtā huuñ
ūñchī lahroñ se Takrāne vaalā maiñ