āvāra āvāra ḳhushbū ham dono
jaane kis din hoñge yaksū ham donoñ
taaza taaza phūloñ kī rut kahtī hai
kar leñ kuchh tafrīh lab-e-jū ham donoñ
phir kyā shai hai maan.e saath nibhāne meñ
rakhte to haiñ yaksāñ ḳhushbū ham donoñ
maiñ chaltā huuñ dil par aql-o-hosh pe to
jis kā toḌ nahīñ vo jaadū ham donoñ
apnī apnī pahchānoñ ke shaidā.ī
tārīkī meñ uḌte jugnū ham donoñ
Takrā.e to TūTeñge miT jā.eñge
apne aap pe rakkheñ qaabū ham donoñ
rasmoñ ke bandhan se baazū khulte to
āzādī se uḌte har-sū ham donoñ
us meñ rah kar us se bachnā mushkil hai
duniyā nāvak afgan aahū ham donoñ
tasvīroñ kā album laao dekheñ to
kitne the ḳhush-qāmat ḳhush-rū ham donoñ