muddatoñ se jo mo.attar thā vo daftar kaaT kar
zard mausam likh diyā satar-e-gul-e-tar kaaT kar
dīda-e-bīnā kī ḳhātir thā jo sāmān-e-nashāt
reza reza kar diyā kis ne vo manzar kaaT kar
koī khiḌkī hī nazar aa.ī na darvāza milā
thak ga.e haiñ paañv dīvāroñ ke chakkar kaaT kar
dāman-e-shab meñ haiñ kitne phuul kyā us ko ḳhabar
so gayā koh-e-mashaqqat ko jo din-bhar kaaT kar
kho gayā hai aadmī be-chehragī ke dasht meñ
le uḌā hai vaqt ā.īnoñ ke jauhar kaaT kar
yuuñ kiyā āzād zanjīr-e-ta.alluq se mujhe
chhoḌ de jaise koī tote ke shah-par kaaT kar
chāhte haiñ sab ko be-mehnat mile shīrīñ hameñ
kaun ab lā.egā jū-e-shīrīñ patthar kaaT kar
tab kahīñ paayā kisī ne us kī manzil kā pata
jab masāfat qat.a kī ḳhud ko sarāsar kaaT kar
tīrgī meñ thā jo 'māhir' sham-e-raushan kī misāl
ḳhaak par pheñkā hai kis zālim ne vo sar kaaT kar