Mahir Abdul Hayee

kis ke aangan se guzar kar ye hawa aati hai

Mahir Abdul Hayee

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

kis ke āñgan se guzar kar ye havā aatī hai
siskiyāñ letī huī bū-e-hinā aatī hai
kyā kamī hai ki nigāhoñ se gire jaate ho
dil meñ ghar karne kī tum ko to adā aatī hai
dil kī bāteñ mujhe kahnī nahīñ ātīñ lekin
yahī kyā kam hai tirī hamd-o-sanā aatī hai
khā rahī hai tan-e-bīmār ko andar andar
kis masīhā kī dukāñ se ye davā aatī hai
kis jagah ruk ke zarā der ko dam le koī
kahīñ saaya hai shajar kā na sar aatī hai
ab bahar-gām baḌhī jaatī hai taklīf-e-safar
ab musāfir ko bahut yād-e-ḳhudā aatī hai
muddatoñ sañg musībat kī ragaḌ khātā hai
tab kahīñ ā.īna-e-dil meñ jilā aatī hai
ek hammām meñ goyā ki sabhī nañge haiñ
sharm aatī hai na duniyā ko hayā aatī hai
ab to is kār-r-gah-e-shīsha-garī meñ 'māhir'
har-nafas taaza chhanāke kī sadā aatī hai
Top Urdushayar.com