kho ga.e yuuñ kār-ḳhāne yā kisī daftar meñ ham
chhuTTiyoñ meñ ajnabī lagte haiñ apne ghar meñ ham
fāsle se dekhne vaalā hameñ samjhegā kyā
pyaas kā sahrā haiñ dariyāoñ ke pas-manzar meñ ham
raat ko sone se pahle kyā kareñ us kā hisāb
kitne sāyoñ kā ta.āqub kar sake din-bhar meñ ham
bas hamīñ ham haiñ jahāñ tak kaam kartī hai nigāh
ek zarra haiñ magar phaile haiñ bahr-o-bar meñ ham
muḳhtalif ḳhākoñ meñ chhīñToñ kī tarah taqsīm haiñ
kyā ubhar kar sāmne aa.eñ kisī manzar meñ ham
dūsrī jānib añdherā hai to kis ummīd par
jāgtī āñkhoñ ko rakh aa.e shigāf-e-dar meñ ham
hai ye majbūrī ki aañch aatī hai chāroñ samt se
varna sochā thā jiyeñge mom ke paikar meñ ham
haath jis shai kī taraf lapke vo ġhā.eb ho ga.ī
phañs ga.e 'māhir' ye kis aaseb ke chakkar meñ ham