roz-e-avval hī se tafrīq ye auqāt meñ hai
koī hai din ke ujāle meñ koī raat meñ hai
maiñ bhī majmua-e-azdād huuñ duniyā kī tarah
kahīñ sahrā kahīñ gulzār mirī zaat meñ hai
hai mire gird mirī maañ kī duāoñ kā hisār
ġham nahīñ hai koī dushman jo mirī ghaat meñ hai
maiñ tahī-dast huuñ lekin ye pata hai mujh ko
vo mire naam hai jo chiiz tire haat meñ hai
dāman-e-shab meñ chamakte haiñ sitāroñ kī tarah
aks kis kā ye mirī ḳhaak ke zaat meñ hai
tīrgī ḳhauf kī pahlū meñ basī hai lekin
kuchh umīdoñ kī chamak dil ke mazāfāt meñ hai
mil hī jā.egī kahīñ paañv Tikāne kī jagah
ab sitāroñ kā jahāñ merī futūhāt meñ hai
mirī pastī pe bahut tanz na kar chashm-e-falak
us ko bhī dekh bulandī jo ḳhayālāt meñ hai
ek hī rañg meñ rahtī hai tabī.at har dam
farq jaaḌe meñ na garmī meñ na barsāt meñ hai
dil laraztā hai pas-e-parda na ho zahr koī
kuchh ziyāda hī miThās ab ke tirī baat meñ hai
dekhnā vo bhī kahīñ chhūT na jaa.e 'māhir'
jo chamaktā huā ik rañg rivāyāt meñ hai