Mahir Abdul Hayee

ajnabi musafir ko rasta dikhaega

Mahir Abdul Hayee

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

ajnabī musāfir ko rāsta dikhā.egā
kaun apnī chaukhaT par ab diyā jalā.egā
jitnī ne.amateñ hoñgī ḳhuub DaT ke khā.egā
phir hameñ qanā.at kā vo sabaq paḌhā.egā
pahle aane vaale hī luuT le ga.e sab maal
ba.ad meñ jo aa.egā ḳhālī haath jā.egā
peT hai agar ḳhālī phir kahāñ kī ḳhuddārī
bhuuk jab satā.egī ḳhud ko bech khā.egā
sab kī apnī rāheñ haiñ sab kī apnī samteñ haiñ
kaun aise aalam meñ kārvāñ bānegā
jis kī umr guzrī ho reshmī shabistāñ meñ
kyā vo hāñpte din kī dāstāñ sunā.egā
aa.ina sifat logo yuuñ raho na parde meñ
varna kaun duniyā ko aa.ina dikhā.egā
ham jo mil ke aapas meñ raushnī luTā.eñge
maiñ bhī jagmagā.uñgā tū bhī jagmagā.egā
phir vo degā ḳhush-ḳhabarī ham ko paar utarne kī
phir nadī meñ kāġhaz kī naav vo bahā.egā
merī jaḌ bhī kāTegā vaqt par pas-e-parda
vo mirī himāyat meñ haath bhī uThā.egā
mahfileñ faqīroñ kī boriye pe sajtī haiñ
bārgāh-e-shāhī ko kaun muñh lagā.egā
afsaroñ ke ḳhādim sab juT ga.e safā.ī meñ
'māhir' apnī bastī meñ aaj kaun aa.egā
Top Urdushayar.com