Mahir Abdul Hayee

tanhai ka gham ruh ke andar se nikalun

Mahir Abdul Hayee

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

tanhā.ī kā ġham ruuh ke andar se nikālūñ
āvāz koī de to qadam ghar se nikālūñ
duniyā use pūjegī ba-sad husn-e-aqīdat
maiñ apnī shabāhat ko jo patthar se nikālūñ
kho jā.ūñ kahīñ tīra-ḳhalāoñ meñ to kyā ho
ḳhud ko jo tire dard ke mehvar se nikālūñ
jo dost nazar aate haiñ ban jā.eñge dushman
kyā muñh se na sach baat bhī is Dar se nikālūñ
hassās ho duniyā to jo nashtar se hai maḳhsūs
vo kaam bhī maiñ barg-e-gul-e-tar se nikālūñ
dushvār sahī phir bhī koī sulh kā pahlū
hālāt ke bigḌe hue tevar se nikālūñ
sadiyoñ se lagī pyaas ko 'māhir' jo bujhā de
vo jur.a-e-zahrāb samundar se nikālūñ
Top Urdushayar.com