jo dar khulā hai shikasta makāñ kā hissa hai
mirā yaqīn fareb-e-gumāñ kā hissa hai
kahāñ se aa.ī haram meñ ye ḳhāk-e-rāh-guzar
vahīñ pe Daal do us ko jahāñ kā hissa hai
kisī shikasta jagah Thiik baiThtā hī nahīñ
dil-e-hazīñ kā ye TukḌā kahāñ kā hissa hai
safar nasīb huuñ sāhil se kyā ġharaz mujh ko
mirā safīna to āb-e-ravāñ kā hissa hai
ajab usuul bane haiñ yahāñ tijārat ke
kisī kā suud kisī ke ziyāñ kā hissa hai
fazā-e-ālam-e-insāniyat kā afsāna
kahīñ zamīn kahīñ āsmāñ kā hissa hai
use zamāne kī gardish miTā nahīñ saktī
ye zindagī nafas-e-jāvedāñ kā hissa hai
'valī' se le ke jo phailī hai 'mīr'-o-'ġhālib' tak
hamārā qissa usī dāstāñ kā hissa hai
falak misāl hai 'māhir' hamārī bastī bhī
hamārā ghar bhī kisī kahkashāñ kā hissa hai