zaḳhm par rakhtā hai marham āsmāñ nashtar samet
amn kā paiġhām detī hai havā ḳhanjar samet
jab mire hamdard ne be-dast-o-pā dekhā mujhe
le gayā mere samundar se sadaf gauhar samet
chār-jānib aag bhaḌkā.ī ga.ī is taur se
ahl-e-bīnash kī nazar bhī jal ga.ī manzar samet
āsmāñ kī chhat zamīñ kā farsh baḳhshtā jā.egā
ghar ujāḌe jā.eñge buniyād ke patthar samet
tez raftārī ne duniyā kī uḌāyā ye ġhubār
har samāñ dhuñdlā gayā us ā.ina-paikar samet
jal rahe haiñ jo lahū se un diyoñ ke sāmne
haar baiThe haiñ parastrān-e-sarsar sarsar samet
dekhnā ye āñsuoñ kī chand būñdoñ kā kamāl
lahlhā uThī hai pathrīlī zamīñ banjar samet
maiñ ne terā naam le kar jab rakhā takiye pe sar
saarā kamra ḳhushbuoñ se bhar gayā bistar samet
murġh-e-kam-himmat fazā-e-be-karāñ hote hue
āshiyāne tak rahā mahdūd bāl-o-par samet
kal zamīñ mere muqābil vazn meñ halkī paḌī
mujh ko jab rakkhā gayā palre meñ chashm-e-tar samet
is tahī dastī meñ 'māhir' aabrū kā kyā savāl
ham gañvā baiThe haiñ dastār-e-fazīlat sar samet