apnī ḳhatā ko is ne mire naam likh diyā
us par kamāl ye ki sar-e-ām likh diyā
andhoñ ke darmiyān rahūñ aa.ina misāl
mere liye ḳhudā ne ajab kaam likh diyā
nārāz hai vo mujh se bas itnī sī baat par
tīra-shabī ko din na likhā shaam likh diyā
kuchh ban paḌā na hasrat-e-tāmīr se to phir
ujḌe hue khañDar ko dar-o-bām likh diyā
jab tīrgī baḌhegī to chamkegā aur bhī
dil ke lahū se ham ne tirā naam likh diyā
kahte haiñ kis ko sabr-o-tahammul ye ham se pūchh
taklīf jo milī use ārām likh diyā
ye bhī huā ki jis ne ujāḌe the ghar ke ghar
munsif ne us ko lā.eq-e-in.ām likh diyā
chāhī thī maiñ ne jis kī bhalā.ī tamām umr
us ne mirī duāoñ ko dushnām likh diyā
koī to baat hogī ki ahl-e-nigāh ne
jitne samar the puḳhta unheñ ḳhaam likh diyā
ab vāsta paḌā hai to 'māhir' khulā ye raaz
patthar badan ko ham ne gul-andām likh diyā