Ghalib Ahmad

patte nahin kahin hari shaKH-e-shajar nahin

Ghalib Ahmad

patte nahīñ kahīñ harī shāḳh-e-shajar nahīñ
is shahr meñ bahār kī koī ḳhabar nahīñ
rañg-e-ḳhizāñ meñ laakh milā.ūñ diloñ ke rañg
mauj-e-sharāb-o-sher meñ koī asar nahīñ
Duube paḌe haiñ qulzum-e-ḳhvāb-o-ḳhayāl meñ
mauj-e-ravāñ kahāñ hai kisī ko ḳhabar nahīñ
dariyā meñ mauj ban ke kahāñ tak rahe koī
mauj-e-ravāñ ba-sūrat-e-dīvār-o-dar nahīñ
ab manzil-e-vajūd nahīñ dil kī kā.enāt
is ghar meñ ek maiñ huuñ koī baam par nahīñ
tū rāhat-e-vajūd hai tū rūh-e-kā.enāt
is ghar meñ tū nahīñ hai to ye merā ghar nahīñ
dasht-e-talab hai ḳhatm yahāñ nāqa-e-nigāh
ye vo zamīñ hai jis meñ tumhārā guzar nahīñ
Top Urdushayar.com