bārhā ho ke ga.e abr-e-bahārāñ ḳhālī
dasht meñ phuul khile aur gulistāñ ḳhālī
ab to ḳhalvat-e-kada-e-ālam-e-imkāñ se nikal
ab yahāñ koī nahīñ ishq kā unvāñ ḳhālī
phir kisī jannat-e-gum-gashta ko dekhā us ne
jism phir chhoḌ chalā jism kā zindāñ ḳhālī
vādi-e-zīst meñ dil DhūñDhtā hai nuur kā rañg
chaar sū ghūrtī hai chashm-e-pareshāñ ḳhālī
ai sabā ab tū yahāñ koī nayā phuul khilā
ek muddat se hai dāmān-e-ġhazal-ḳhvāñ ḳhālī