Ghalib Ahmad

kya kare haal-e-dil bayan koi

Ghalib Ahmad

kyā kare hāl-e-dil bayāñ koī
na rahā zeb-e-dāstāñ koī
phir hai qalb-o-nazar meñ yaksūī
kaash aa jaa.e nā-gahāñ koī
aañkh shabnam kī dekhtī hai kise
chāñdnī meñ huā javāñ koī
shahr se duur din kā phuul khilā
dasht meñ bhī hai gulistāñ koī
dil bhī hamrāz-e-ārzū niklā
ab nahīñ apnā rāz-dāñ koī
chhoḌ dukh-sukh kī manziloñ kā tavāf
dil miyāñ DhūñD āstāñ koī
duur apnoñ se ho rahe haiñ log
dekhiye kab mile kahāñ koī
Top Urdushayar.com