Ghalib Ahmad

manzar-e-hosh se aage bhi nazar jaane de

Ghalib Ahmad

manzar-e-hosh se aage bhī nazar jaane de
jā rahā hai ye musāfir to udhar jaane de
terī āvāz kī parvāz meñ hai merā vajūd
apnī guftār ke pardoñ meñ bikhar jaane de
na koī chashm-e-tamannā na koī dast-e-duā
zindagī tū mujhe be-laus guzar jaane de
tere qābil bhī nahīñ tere muqābil bhī nahīñ
ham-safar saath mujhe apne magar jaane de
tū to hai husn-e-azal aur mirā rañg-e-ġhazal
merī āvāz meñ bhī kuchh to asar jaane de
mere ash.ār meñ sadiyoñ ke talātum kā shu.ūr
kaash tū un ko zarā dil meñ utar jaane de
Top Urdushayar.com