Afzal Gauhar Rao

isi liye bhi nae safar se bandhe hue hain

Afzal Gauhar Rao

1965
isī liye bhī na.e safar se bañdhe hue haiñ
ki ham parinde to bāl-o-par se bañdhe hue haiñ
tumheñ hī sahrā sambhālne kī paḌī huī hai
nikal ke ghar se bhī ham to ghar se bañdhe hue haiñ
kisī ne din meñ tamām chhāñv utaar lī hai
ye barg o gul to yūñhī shajar se bañdhe hue haiñ
yahāñ bhalā kaun apnī marzī se jī rahā hai
sabhī ishāre tirī nazar se bañdhe hue haiñ
sagān-e-kūcha-e-dilbarāñ kī misāl ham to
rihā bhī ho kar kisī ke dar se bañdhe hue haiñ
zamīn ḳhud ham ko khīñchtī phir rahī hai 'gauhar'
ajiib aalam meñ rahguzar se bañdhe hue haiñ
Top Urdushayar.com