ye jo ik laḌkī pe haiñ taināt pahre-dār sau
dekhtī haiñ us kī āñkheñ bheḌiye ḳhūñ-ḳhvār sau
diqqateñ akasr vo merī bāñTtī hai is tarah
apne bakse se nikālegī abhī do chaar sau
ā.eñgī jab mushkileñ to vo bacha legā mujhe
ik bharosa degā aur karvā.egā begār sau
race meñ hogī saḌak par zindagī kī gāḌiyāñ
ek assī par chalegī ek kī raftār sau
kitnā mushkil kaam hai achchhā.iyoñ ko DhūñDhnā
yuuñ to ḳhabroñ se bhare haiñ roz hī aḳhbār sau