Pratap Somvanshi

pas mein rah ke nigahon se bachae rakhna

Pratap Somvanshi

Harakhpur, Uttar pradesh, India

1968
paas meñ rah ke nigāhoñ se bachā.e rakhnā
apne dukh-dard ko apnoñ se chhupā.e rakhnā
ham guḌā-bhāg ghaTā-joḌ nahīñ kar paate
apnī aadat meñ hai rishtoñ ko nibhā.e rakhnā
ḳhud ko ḳhud se hī chhupāne kā tarīqa hai ye
apnī bātoñ meñ sadā ḳhud ko lagā.e rakhnā
pyaas jab haath uThā.e to na ḳhālī jaa.e
bādalo itnī to ummīd jagā.e rakhnā
āñdhiyoñ se kabhī bujhtī nahīñ ummīd kī lau
yuuñ hī ehsās ke dīpak ko jalā.e rakhnā
kuchh bhale log kahānī kī tarah milte haiñ
dukh kisī kā bhī ho kāñdhe pe uThā.e rakhnā
Top Urdushayar.com