kaise kah detā koī kirdār chhoTā paḌ gayā
jab kahānī meñ likhā aḳhbār chhoTā paḌ gayā
sādgī kā nuur chehre se Tapaktā hai huzūr
maiñ ne dekhā jauharī bāzār chhoTā paḌ gayā
muskurāhaT le ke aayā thā vo sab ke vāste
itnī ḳhushiyāñ aa ga.iiñ ghar-bār chhoTā paḌ gayā
darjanoñ qisse-kahānī ḳhud hī chal kar aa ga.e
us se jab bhī maiñ milā itvār chhoTā paḌ gayā
ik bharosa hī mirā mujh se sadā laḌtā rahā
haañ ye sach hai us se maiñ har baar chhoTā paḌ gayā
us ne to ehsās ke badle meñ sab kuchh de diyā
fā.ede nuqsān kā bevpār chhoTā paḌ gayā
ghar meñ kamre baḌh ga.e lekin jagah sab kho ga.ī
buildingeñ ūñchī huī aur pyaar chhoTā paḌ gayā
gaañv kā bichhḌā koī rishta shahr meñ jab milā
rūpaya dollar ho ki dīnār chhoTā paḌ gayā
mere sir par haath rakh kar mushkileñ sab le gayā
ik duā ke sāmne har vaar chhoTā paḌ gayā
chāhatoñ kī uñgliyoñ ne us kā kāñdhā chhū liyā
sone chāñdī motiyoñ kā haar chhoTā paḌ gayā