maiñ apnī zaat meñ jab se sitārā hone lagā
phir ik charāġh se merā guzārā hone lagā
mirī chamak ke nazāre ko chāhiye kuchh aur
maiñ aa.ine pe kahāñ āshkārā hone lagā
ye kaisī barf se us ne bhigo diyā hai mujhe
pahāḌ jaisā mirā jism gaarā hone lagā
zamīñ se maiñ ne abhī eḌiyāñ uThā.ī thiiñ
ki āsmān kā mujh ko nazāra hone lagā
ajiib sūr-e-sarāfīl us ne phūñk diyā
pahāḌ apnī jagah paara paara hone lagā
maiñ ek ishq meñ nākām kyā huā 'gauhar'
har ek kaam meñ mujh ko ḳhasārā hone lagā