jhuuT kahūñ to dil tayyār nahīñ hotā
sach se lekin beḌā paar nahīñ hotā
aap naf.a meñ ḳhush haiñ ham ghāTe meñ ḳhush
rishtoñ kā ham se bevpār nahīñ hotā
raam kī shabrī jañgal meñ to rahtī hai
beroñ par us kā adhikār nahīñ hotā
sab keval apnī kamzorī jiite haiñ
rishta to koī bīmār nahīñ hotā
sunñā sahnā chup rahnā phir hañsnā bhī
ḳhud pe itnā attyāchār nahīñ hotā
ḳhud se Darnā kashtī pe bhī shak karnā
ab aise to dariyā paar nahīñ hotā
ye sach hai vo har hafte hī aatā hai
sab kī qismat meñ itvār nahīñ hotā
sīdhe sachche achchhe bhī haiñ log bahut
kaise likh duuñ do do chaar nahīñ hotā