Pratap Somvanshi

samay ki dhup mein kaisa bhi ghussa sukh jata hai

Pratap Somvanshi

Harakhpur, Uttar pradesh, India

1968
samay kī dhuup meñ kaisā bhī ġhussa suukh jaatā hai
magar maiñ kyā karūñ lahja bhī merā suukh jaatā hai
use tālāb jharne jhiil se jhaḌnā zarūrī hai
safar meñ tanhā chalne vaalā dariyā suukh jaatā hai
bharosa ek marham kī tarah maujūd rahtā hai
agar ye paas ho to zaḳhm saarā suukh jaatā hai
usūloñ kī chamak jaate hī chehrā bujh gayā us kā
jaḌeñ kaTte hī jaise peḌ saarā suukh jaatā hai
koī kaisā bhī rishta ho namī behad zarūrī hai
havā rūkhī ho to koī bhī paudā suukh jaatā hai
Top Urdushayar.com