ḳhud ko kitnī der manānā paḌtā hai
lafzoñ ko jab rañg lagānā paḌtā hai
choTī tak pahuñchī rāhoñ se sīkho bhī
kaise parvat kaaT ke aanā paḌtā hai
bachchoñ kī muskān bahut hī mahñgī hai
do do paise roz bachānā paḌtā hai
sach kā kapḌā phuul se halkā hotā hai
jhuuT kā parvat laad ke jaanā paḌtā hai
sūraj ko gaalī dene kā fashion hai
chhāñv kī ḳhātir peḌ lagānā paḌtā hai
dil kā kyā hai jo kah do sun letā hai
āñkhoñ ko aksar samjhānā paḌtā hai