bujhā lī pyaas jo us ne rahā nadī kā nahīñ
ġharaz kā apnī sagā hai vo aadmī kā nahīñ
ajiib chaah hai us kī bhī dekhiye to zarā
sabhī hoñ us ke bhale vo huā kisī kā nahīñ
ḳhushī meñ us kī na aa.e nazar udaas koī
magar udāsī meñ us kī guzar ḳhushī kā nahīñ
maiñ us ke chehre pe luuTī huī chamak kā gavāh
kahā jo dukh hai ye merā bhī hai usī kā nahīñ