Najeeb Ahmad

har-chand jaisa socha tha waisa nahin hua

Najeeb Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1948
har-chand jaisā sochā thā vaisā nahīñ huā
lekin kahā huā kā bhī puurā nahīñ huā
tum ek gard-e-bād the chakrā ke rah ga.e
ham se bhī paar zaat kā sahrā nahīñ huā
ḳhushbū kahīñ to phuul havā le uḌī kahīñ
yuuñ muntashir kisī kā qabīla nahīñ huā
sau vasvasoñ kī gard barastī rahī magar
dil aisā aa.ina thā ki mailā nahīñ huā
patthar the ham so daulat-e-ehsās mil ga.ī
luT kar bhī kār-e-dil meñ ḳhasārā nahīñ huā
guzre dinoñ kā ruup thī is rut kī dhuup bhī
so is baras bhī ġham kā mudāvā nahīñ huā
logoñ pe khul chuke the madārī ke gur 'najīb'
so koī bhī asīr-e-tamāshā nahīñ huā
Top Urdushayar.com