āsmāñ sūraj sitāre bahr-o-bar kis ke liye
ye safar kis ke liye raḳht-e-safar kis ke liye
vo hare din vo bhare mausam to kab ke jā chuke
haath phailā.e khaḌe haiñ ab shajar kis ke liye
din nikalte hī nikal aa.e the kis kī khoj meñ
shaam Dhalte hī chale aa.e haiñ ghar kis ke liye
tū kisī kā muntazir kab thā magar ye to batā
umr-bhar dil kā khulā rakkhā hai dar kis ke liye
kaun dariyāoñ kī haibat oḌh kar niklā 'najīb'
chīḳh uTThe haiñ samundar meñ bhañvar kis ke liye