sab ko batā rahā huuñ yahī saaf saaf maiñ
jalte diye se kaise karūñ inhirāf meñ
maiñ ne to āsmān ke rañgoñ kī baat kī
kahne lagī zamīn badal duuñ ġhilāf meñ
gumrāh kab kiyā hai kisī raah ne mujhe
chalne lagā huuñ aap hī apne ḳhilāf meñ
miltā nahīñ hai phir bhī sirā āsmān kā
kar kar ke thak chukā huuñ zamīñ kā tavāf meñ
ab tū bhī aa.ine kī tarah bolne lagā
patthar se bhar na duuñ tire muñh kā shigāf meñ