kuchh is ke sivā ḳhvāhish-e-sāda nahīñ rakhte
ham tujh se bichhaḌne kā irāda nahīñ rakhte
kab dil kī taraf lauT ke ā.eñge safīne
sahrā ke bagūle ġham-e-jāda nahīñ rakhte
kyā ḳhaak simaT pā.eñge duniyā ke bakheḌe
ham log to dāman bhī kushāda nahīñ rakhte
uḌ jā.eñge ham bhī varaq-e-ḳhāk se ik din
rañgoñ ke sivā koī libāda nahīñ rakhte
har aañkh ko ham sāġhar-o-mīnā nahīñ kahte
har aañkh pe ham tohmat-e-bāda nahīñ rakhte
qaa.em bharam apnā hai asīrī se vagarna
ham tāqat-e-parvāz ziyāda nahīñ rakhte