ḳhema-e-jāñ kī tanāboñ ko ukhaḌ jaanā thā
ham se ik roz tirā ġham bhī bichhaḌ jaanā thā
kaun se kaaj sañvarte haiñ tire hone se
kaun sā kaam na hone se bigaḌ jaanā thā
bai.at-e-ishq na kī bai.at-e-shāhī ke liye
qasr basnā the so maqtal ko ujaḌ jaanā thā
sañg-rezoñ kī kamī kab thī sar-e-rāh-e-visāl
dil-e-kam-zarf kā dāman hī sikuḌ jaanā thā
aur kab tak yūñhī be-gaur-o-kafan rakhte unheñ
sard ḳhānoñ meñ bhī lāshoñ ko akaḌ jaanā thā
kyā ḳhabar thī zar-e-ehsās ke luTte hī 'najīb'
ik ḳhalā sā dar-o-dīvār meñ paḌ jaanā thā