Najeeb Ahmad

ek meri jaan mein aur ek lahar sahraon mein thi

Najeeb Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1948
ek merī jaañ meñ aur ik lahar sahrāoñ meñ thī
kuchh nukīle sañg the kuchh ret dariyāoñ meñ thī
kyā huā vo garm dopahroñ meñ yaḳh honā mirā
kyā huī vo dhuup sī lazzat ki jo chhāñv meñ thī
kyā ḳhabar kyā jism the kyuuñ mauj-e-sahrā ho ga.e
kyā batā.eñ kis balā kī guuñj dariyāoñ meñ thī
shahr vaale kab ke mahrūm-e-basārat ho chuke
ratjage kī rasm to bas aañkh ke gaañv meñ thī
apne saudā ke liye ye izzat-e-sañg-e-rasā
kuchh adū ke haath meñ kuchh apnī rekhāoñ meñ thī
ab to jismoñ meñ lahū kī buuñd tak baaqī nahīñ
phir bhī ham ko lūTne kī hirs āqāoñ meñ thī
tū agar āzād lamhoñ kā payambar hai 'najīb'
raat kī zanjīr kyuuñ phir vaqt ke paañv meñ thī
Top Urdushayar.com