ik vahm kī sūrat sar-e-dīvār-e-yaqīñ haiñ
dekho to haiñ maujūd na dekho to nahīñ haiñ
ham se kashish-e-mauja-e-raftār na pūchho
ham ahl-e-mohabbat to giraftār-e-zamīñ haiñ
is raah se haT kar guzar ai nāqa-e-lailā
is gosha-e-sahrā meñ ham ārām-guzīñ haiñ
chhoḌeñ bhī to kis tarah ham is shahr ko chhoḌeñ
is najd ke pāband tire ḳhāk-nashīñ haiñ
is dā.era-e-raushni-o-rañg se aage
kyā jāniye kis haal meñ bastī ke makīñ haiñ
vo tab bhī gurezāñ the magar dushman-e-dil the
vo ab bhī gurezāñ haiñ magar dushman-e-dīñ haiñ
har marhal-e-būd thā nābūd kī manzil
lekin tire hote hameñ lagtā thā hamīñ haiñ
kis taur sameTeñ tirī palkoñ ke sitāre
kahne ko to shā.er haiñ magar apne ta.iiñ haiñ