Najeeb Ahmad

sar-e-niyaz wo sauda nazar nahin aata

Najeeb Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1948
sar-e-niyāz vo saudā nazar nahīñ aatā
vo jaisā pahle thā vaisā nazar nahīñ aatā
vo raat thī to basar ho ga.ī bahar-sūrat
agar ye din hai to kaTtā nazar nahīñ aatā
ye kis kī oT meñ jalte rahe rutoñ ke charāġh
kisī galī meñ ujālā nazar nahīñ aatā
rukūñ to hujla-e-manzil pukārtā hai mujhe
qadam uThā.ūñ to rasta nazar nahīñ aatā
havā meñ ruuī ke gāloñ kī tarah uḌtā hai
mujhe vo qaul kā pakkā nazar nahīñ aatā
'najīb' chaar taraf nafratoñ kī ThāTheñ haiñ
chaḌhā huā ho to dariyā nazar nahīñ aatā
Top Urdushayar.com